ada haj aek din men woh hazaron baar karte hain

Tumhara facebook par jis ghadi deedarkarte hain . . . . 
Tumheen par toot padtehai tumheen se pyar karte hain
🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇
Woh khud ko jannatul firdaus ka haqdar karte hain 
Jo apni zeest men ak baar bhi  eesaar karte karte hain 
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
ada haj aek din men woh hazaron baar karte hain . . . . . 
Jo bachche pyar se maan baap ka deedar karte hain
🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇
Ilahi hamko iska ajr qabr-o-hashr men dena . . . . 
Ham apne baap aur maan se bahot he pyar karte hain . . .
( AZZA WA JAL)
🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇
Khade hote hain unko dekh kar tazeem ki khatir ... 
Haleema sadiya ka bhi adab sarkar karte hain.
sallallahualaihewasallam wa radiyallahu ta aala anha
🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇
gham-o-aalam to un se mere dekhe naheen jate ...
mohabbat kis padar mujh se mere sarkar karte hain SALLALLAHUALAIHEWASALLAM
🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇
Agar jalna hai jis ko woh yon he jal jal ke mar jaye . . . . .
ham un ke naam ka charcha sar-e-baazaar karte Hain 
🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇🍇
HAMARE GHAR QADAM RANJA KISI DIN AAP FARMADEN . . . . 
. GUZARISH AAP SE G A U H A R YAHE HAR BAAR KARTE HAIN

ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے